Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilon ke mabain shak ki diwar ho rahi hai

Shakeel Jamali

dilon ke mabain shak ki diwar ho rahi hai

Shakeel Jamali

diloñ ke mābain shak dīvār ho rahī hai

to kyā judā.ī raah hamvār ho rahī hai

zarā mujh ko bhī tajraba kam hai rāste

zarā terī bhī tez raftār ho rahī hai

udhar se bhī jo chāhiye thā nahīñ milā hai

idhar hamārī bhī umr be-kār ho rahī hai

shadīd garmī meñ kaise nikle vo phūl-chehra

so apne raste meñ dhuup dīvār ho rahī hai

bas ik ta.alluq ne merī nīndeñ uḌā rakhī haiñ

bas ik shanāsā.ī jaañ āzār ho rahī hai

yahāñ se qissa shurūa hotā hai qatl-o-ḳhūñ

yahāñ se ye dāstāñ mazedār ho rahī hai

ye log duniyā ko kis taraf le ke rahe haiñ

ye log jin zabān talvār ho rahī hai

dilon ke mabain shak ki diwar ho rahi hai

to kya judai ki rah hamwar ho rahi hai

zara sa mujh ko bhi tajraba kam hai raste ka

zara si teri bhi tez raftar ho rahi hai

udhar se bhi jo chahiye tha nahin mila hai

idhar hamari bhi umr be-kar ho rahi hai

shadid garmi mein kaise nikle wo phul-chehra

so apne raste mein dhup diwar ho rahi hai

bas ek talluq ne meri ninden uDa rakhi hain

bas ek shanasai jaan ka aazar ho rahi hai

yahan se qissa shurua hota hai qatl-o-KHun ka

yahan se ye dastan mazedar ho rahi hai

ye log duniya ko kis taraf le ke ja rahe hain

ye log jin ki zaban talwar ho rahi hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now