shole ugalti dhup mein uDta ghubar dekh
sho'le ugaltī dhuup meñ uḌtā ġhubār dekh
yādoñ ke rahguzār meñ ik din guzār dekh
kaliyāñ chaTak rahī haiñ na.ī shāḳh shāḳh par
shabnam ke ā.inoñ meñ badan kī bahār dekh
maiñ saañp ban ke niklūñgā miTTī ke batn se
tanhā.ī ke khañDar meñ mirā intizār dekh
phaTne ke baa'd aur bhī jāzib-nazar hue
dīvār par lage hue ye ishtihār dekh
pūnam hai aaj raat koī aa.egā zarūr
ujḌe hue makān ke kamre sañvār dekh
sho'le ugalti dhup mein uDta ghubar dekh
yaadon ke rahguzar mein ek din guzar dekh
kaliyan chaTak rahi hain nai shaKH shaKH par
shabnam ke aainon mein badan ki bahaar dekh
main sanp ban ke niklunga miTTi ke batn se
tanhai ke khanDar mein mera intizar dekh
phaTne ke ba'd aur bhi jazib-nazar hue
diwar par lage hue ye ishtihaar dekh
punam hai aaj raat koi aaega zarur
ujDe hue makan ke kamre sanwar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.