kuchh is tarah se KHud ko munazzam karunga main
kuchh is tarah se ḳhud ko munazzam karūñgā maiñ
ulfat kā diip tez hai so kam karūñgā maiñ
aatī hai āsmān se bārish bhī dhuup bhī
apne ġhamoñ ko dekhnā marham karūñgā maiñ
murjhā gayā thā phuul mirā chhoTī 'umr meñ
apnī har ek saañs pe mātam karūñgā maiñ
shab bhar kisī kī yaad meñ har phuul rotā hai
dāman kisī kī yaad meñ ab nam karūñgā maiñ
har ek apnī baat ko behtar batātā hai
kab tak anā ke dahr meñ ham ham karūñgā maiñ
girtā rahā jo paanī to patthar meñ naqsh hai
ulfat kī dauḌ bhaag ko paiham karūñgā maiñ
ye husn kā jahān bahut chāl-bāz hai
tasḳhīr har tarah se ye 'ālam karūñgā maiñ
hamdam ne aa ke mujh se faqat thoḌī baat kī
tujh ko shifā milegī agar dam karūñgā maiñ
ḳhud ko sunā rahā huuñ abhī dāstān-e-hijr
'maqsūd' dil-fareb ye mausam karūñgā maiñ
kuchh is tarah se KHud ko munazzam karunga main
ulfat ka dip tez hai so kam karunga main
aati hai aasman se barish bhi dhup bhi
apne ghamon ko dekhna marham karunga main
murjha gaya tha phul mera chhoTi 'umr mein
apni har ek sans pe matam karunga main
shab bhar kisi ki yaad mein har phul rota hai
daman kisi ki yaad mein ab nam karunga main
har ek apni baat ko behtar batata hai
kab tak ana ke dahr mein hum hum karunga main
girta raha jo pani to patthar mein naqsh hai
ulfat ki dauD bhag ko paiham karunga main
ye husn ka jahan bahut chaal-baz hai
tasKHir har tarah se ye 'alam karunga main
hamdam ne aa ke mujh se faqat thoDi baat ki
tujh ko shifa milegi agar dam karunga main
KHud ko suna raha hun abhi dastan-e-hijr
'maqsud' dil-fareb ye mausam karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.