mastana piye ja yun hi mastana piye ja
mastāna piye jā yuuñ hī mastāna piye jā
paimāna to kyā chiiz hai mai-ḳhāna piye jā
kar ġharq-e-mai-o-jām ġham-e-gardish-e-ayyām
ab ai dil-e-nākām hakīmāna piye jā
mai-noshī ke ādāb se āgāh nahīñ to
jis tarh kahe sāqi-e-mai-ḳhāna piye jā
is makr kī bastī meñ hai mastī hī se hastī
dīvāna ban aur bā-dil-e-dīvāna piye jā
maiḳhāne ke hangāme haiñ kuchh der ke mehmāñ
hai sub.h qarīb ‘aḳhtar’-e-dīvāna piye jā
mastana piye ja yun hi mastana piye ja
paimana to kya chiz hai mai-KHana piye ja
kar gharq-e-mai-o-jam gham-e-gardish-e-ayyam
ab ai dil-e-nakaam hakimana piye ja
mai-noshi ke aadab se aagah nahin to
jis tarh kahe saqi-e-mai-KHana piye ja
is makr ki basti mein hai masti hi se hasti
diwana ban aur ba-dil-e-diwana piye ja
maiKHane ke hangame hain kuchh der ke mehman
hai subh qarib ‘aKHtar’-e-diwana piye ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.