Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ijz aur inkisar dekha hai

Asim Bukhari

ijz aur inkisar dekha hai

Asim Bukhari

MORE BYAsim Bukhari

    'ijz aur inkisār dekhā hai

    barsar-e-eqtidār dekhā hai

    phir bhī dil ye nahīñ bharā apnā

    dekhā aur baar baar dekhā hai

    tere chehre pe phuul ke jaise

    jab bhī dekhā nikhār dekhā hai

    ham ne dekhe haiñ lahje fir’aunī

    daulatoñ kā ḳhumār dekhā hai

    jis pe tasvīr thī na 'aurat kī

    aaj ik ishtihār dekhā hai

    har gale meñ 'buḳhārī' jī ham ne

    ġhurbatoñ kā hī haar dekhā hai

    ham ne maañ kī du'āoñ kā 'āsim'

    gird apne hisār dekhā hai

    'ijz aur inkisar dekha hai

    barsar-e-eqtidar dekha hai

    phir bhi dil ye nahin bhara apna

    dekha aur bar bar dekha hai

    tere chehre pe phul ke jaise

    jab bhi dekha nikhaar dekha hai

    hum ne dekhe hain lahje fir’auni

    daulaton ka KHumar dekha hai

    jis pe taswir thi na 'aurat ki

    aaj ek ishtihaar dekha hai

    har gale mein 'buKHari' ji hum ne

    ghurbaton ka hi haar dekha hai

    hum ne man ki du'aon ka 'asim'

    gird apne hisar dekha hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now