sab kuchh jal-thal karne wali barish hai
sab kuchh jal-thal karne vaalī bārish hai
ye to pāgal Darne vaalī bārish hai
mushkil hai sairābī mere gāloñ kī
yā'nī saaf mukarne vaalī bārish hai
ye to zamīñ kī pyaas bujhāne aa.ī thī
'arsh ke paar utarne vaalī bārish hai
phuul khilāne vaale bādal kahāñ gaye
ye to mārne marne vaalī bārish hai
raushniyoñ ke shahr ḳhudā rakkhe tujh ko
yahāñ kisī se Darne vaalī bārish hai
dariyāoñ kī mā'tūbī kaafī kab thī
sahrā meñ paaoñ dharne vaalī bārish hai
āñkhoñ ko bādal batlāte haiñ 'mahnāz'
dil ko dariyā karne vaalī bārish hai
sab kuchh jal-thal karne wali barish hai
ye to pagal Darne wali barish hai
mushkil hai sairabi mere galon ki
ya'ni saf mukarne wali barish hai
ye to zamin ki pyas bujhane aai thi
'arsh ke par utarne wali barish hai
phul khilane wale baadal kahan gaye
ye to marne marne wali barish hai
raushniyon ke shahr KHuda rakkhe tujh ko
yahan kisi se Darne wali barish hai
dariyaon ki ma'tubi kafi kab thi
sahra mein paon dharne wali barish hai
aankhon ko baadal batlate hain 'mahnaz'
dil ko dariya karne wali barish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.