Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke matam mein agar main su-e-dariya dekhta

Ali Miyan Kamil Lakhnavi

dil ke matam mein agar main su-e-dariya dekhta

Ali Miyan Kamil Lakhnavi

MORE BYAli Miyan Kamil Lakhnavi

    dil ke mātam meñ agar maiñ sū-e-dariyā dekhtā

    mauj kī bikhrī huī zulf-e-chalīpā dekhtā

    iltihāb itnā tap-e-ġham kā mujhe kartā buland

    nabz merī bām-e-gardūñ par masīhā dekhtā

    shukr kartā huuñ ki sauñpā ḳhaak meñ 'uryāñ badan

    kyā qalaq hotā kafan jis roz mailā dekhtā

    zinda be-asbābī-e-duniyā se huuñ ai daur-e-charḳh

    mar gayā hotā kafan jis din muhayyā dekhtā

    hijr meñ bālīñ pe ai dil maut hī aa baiThtī

    koī to mere taḌapne kā tamāshā dekhtā

    un kī marzī thī ki ḳhush hotā jalā ke dil ko maiñ

    phūñktā ḳhud apne dil ko ḳhud tamāshā dekhtā

    shaam hote paḌ rahā zanjīr dar kī kar ke band

    aane vaalā kaun thā kis kā maiñ rasta dekhtā

    dil ke matam mein agar main su-e-dariya dekhta

    mauj ki bikhri hui zulf-e-chalipa dekhta

    iltihab itna tap-e-gham ka mujhe karta buland

    nabz meri baam-e-gardun par masiha dekhta

    shukr karta hun ki saunpa KHak mein 'uryan badan

    kya qalaq hota kafan jis roz maila dekhta

    zinda be-asbabi-e-duniya se hun ai daur-e-charKH

    mar gaya hota kafan jis din muhayya dekhta

    hijr mein baalin pe ai dil maut hi aa baiThti

    koi to mere taDapne ka tamasha dekhta

    un ki marzi thi ki KHush hota jala ke dil ko main

    phunkta KHud apne dil ko KHud tamasha dekhta

    sham hote paD raha zanjir dar ki kar ke band

    aane wala kaun tha kis ka main rasta dekhta

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now