Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kiya aankhon ko nazr uski kaha dil hai so wo bahla

Fattavat Aurangabadi

kiya aankhon ko nazr uski kaha dil hai so wo bahla

Fattavat Aurangabadi

kiyā āñkhoñ ko nazr us kahā dil hai so vo bahlā

huā huuñ sarf-e-farmā.ish kabhī ye kabhī vo

jo ḳhush-chashmoñ ulfat meñ diyā barbād apnā

lagāo us turbat par lajā kar nargis-e-shahlā

gayā huuñ bhuul apne ko payām-o-nāma kyā bhejūñ

ḳhayāl-e-dil qāsid in dinoñ meñ aah kyoñ chahlā

ye tifl-e-ashk dāman-gīr hai har aan meñ mujh se

bahāne se maiñ laḌke ko rakhūñ kis tarah kar bahlā

tumheñ ārām zindāñ meñ divānoñ is sabab se hai

diyā zanjīr neñ shāyad tumhāre paañv ko sahlā

junūñ ke ilm ko aalim huuñ merā rutba mat pūchho

ki majnūñ dars-e-vahshat mire shāgird hai pahlā

kiya aankhon ko nazr us ki kaha dil hai so wo bahla

hua hun sarf-e-farmaish kabhi ye la kabhi wo la

jo KHush-chashmon ki ulfat mein diya barbaad ji apna

lagao us ki turbat par laja kar nargis-e-shahla

gaya hun bhul apne ko payam-o-nama kya bhejun

KHayal-e-dil ka qasid in dinon mein aah kyon chahla

ye tifl-e-ashk daman-gir hai har aan mein mujh se

bahane se main laDke ko rakhun kis tarah kar bahla

tumhein aaram zindan mein diwanon is sabab se hai

diya zanjir nen shayad tumhaare panw ko sahla

junun ke ilm ko aalim hun mera rutba mat puchho

ki majnun dars-e-wahshat ka mere shagird hai pahla

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now