Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil pachan tan ko tera hai sira yahi

Shah Meer Rai Choti

ai dil pachan tan ko tera hai sira yahi

Shah Meer Rai Choti

ai dil pachān tan ko terā hai sirā yahī

maavā yahī ma.aad yahī multajā yahī

pahchān le jiine tak is tan māhiyat

maqsad yahī murād yahī mudda.ā yahī

nābūj apne tan ko hue haiñ bahut ḳharāb

ġhaflat yahī hijāb yahī aur 'amā yahī

kāmil haiñ ma.arifat meñ vo kahte haiñ tan baat

mabdā yahī ma.aad yahī muntahā yahī

hai tājirān-e-tāliq-e-ma.anī ko be-gumāñ

dariyā yahī jahāz yahī nāḳhudā yahī

jo tālibān-e-naqd-e-haqīqat haiñ un ke ta.iiñ

paars yahī tajjār yahī kīmiyā yahī

jāma.a hai tan tirā ye majāz-e-haqīq hai

paanī yahī sarāb yahī aur havā yahī

is tan ko haq samajh ke mashġhūl rah mudām

roza yahī namāz yahī aur duā yahī

kahtā hai 'mīr' piir ke irshād suuñ na aap

allāh yahī rasūl yahī rahnumā yahī

ai dil pachan tan ko tera hai sira yahi

mawa yahi maad yahi multaja yahi

pahchan le tu jine tak is tan ki mahiyat

maqsad yahi murad yahi muddaa yahi

nabuj apne tan ko hue hain bahut KHarab

ghaflat yahi hijab yahi aur 'ama yahi

kaamil hain marifat mein wo kahte hain tan ki baat

mabda yahi maad yahi muntaha yahi

hai tajiran-e-taliq-e-mani ko be-guman

dariya yahi jahaz yahi naKHuda yahi

jo taliban-e-naqd-e-haqiqat hain un ke tain

pars yahi tajjar yahi kimiya yahi

jama hai tan tera ye majaz-e-haqiq hai

pani yahi sarab yahi aur hawa yahi

is tan ko haq samajh ke tu mashghul rah mudam

roza yahi namaz yahi aur dua yahi

kahta hai 'mir' pir ke irshad sun na aap

allah yahi rasul yahi rahnuma yahi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now