mera nam likh kar miTaya gaya hai
mirā naam likh kar miTāyā gayā hai
mujhe yaad kar ke bhulāyā gayā hai
ḳhud un kī bhī āñkhoñ se aañsū ravāñ the
mujhe bazm se jab uThāyā gayā hai
mirī tarh vo bhī pareshān hoñge
unheñ aa.ina kyuuñ dikhāyā gayā hai
mujhe qatl karne kī tayyāriyāñ haiñ
salīqe se maqtal sajāyā gayā hai
ġhalat hai ye kahnā burā vaqt aayā
vo aayā nahīñ balki laayā gayā hai
'sa'īd' apnī kashtī kā allāh hāfiz
kināre se tūfāñ uThāyā gayā hai
mera nam likh kar miTaya gaya hai
mujhe yaad kar ke bhulaya gaya hai
KHud un ki bhi aankhon se aansu rawan the
mujhe bazm se jab uThaya gaya hai
meri tarh wo bhi pareshan honge
unhen aaina kyun dikhaya gaya hai
mujhe qatl karne ki tayyariyan hain
saliqe se maqtal sajaya gaya hai
ghalat hai ye kahna bura waqt aaya
wo aaya nahin balki laya gaya hai
'sa'id' apni kashti ka allah hafiz
kinare se tufan uThaya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.