Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charKH se kuchh umid thi hi nahin

Akbar Allahabadi

charKH se kuchh umid thi hi nahin

Akbar Allahabadi

charḳh se kuchh umiid thī nahīñ

aarzū maiñ ne koī nahīñ

maz.habī bahas maiñ ne nahīñ

fāltū aql mujh meñ thī nahīñ

chāhtā thā bahut bātoñ ko

magar afsos ab vo nahīñ

jur.at-e-arz-e-hāl kyā hotī

nazar-e-lutf us ne nahīñ

is musībat meñ dil se kyā kahtā

koī aisī misāl thī nahīñ

aap kyā jāneñ qadr-e-yā-allāh

jab musībat koī paḌī nahīñ

shirk chhoḌā to sab ne chhoḌ diyā

merī koī society nahīñ

pūchhā 'akbar' hai aadmī kaisā

hañs ke bole vo aadmī nahīñ

charKH se kuchh umid thi hi nahin

aarzu main ne koi ki hi nahin

mazhabi bahas main ne ki hi nahin

faltu aql mujh mein thi hi nahin

chahta tha bahut si baaton ko

magar afsos ab wo ji hi nahin

jurat-e-arz-e-haal kya hoti

nazar-e-lutf us ne ki hi nahin

is musibat mein dil se kya kahta

koi aisi misal thi hi nahin

aap kya jaanen qadr-e-ya-allah

jab musibat koi paDi hi nahin

shirk chhoDa to sab ne chhoD diya

meri koi society hi nahin

puchha 'akbar' hai aadmi kaisa

hans ke bole wo aadmi hi nahin

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

charKH se kuchh umid thi hi nahin Fasih Akmal

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now