nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
nīl-gagan meñ tair rahā hai ujlā ujlā puurā chāñd
maañ kī lorī sā bachche ke duudh kaTore jaisā chāñd
munnī kī bholī bātoñ sī chaTkīñ tāroñ kī kaliyāñ
pappū kī ḳhāmoshī sharārat sā chhup chhup kar ubhrā chāñd
mujh se pūchho kaise kaaTī maiñ ne parbat jaisī raat
tum ne to godī meñ le kar ghanToñ chūmā hogā chāñd
pardesī suunī āñkhoñ meñ sho.ale se lahrāte haiñ
bhābī kī chheḌoñ sā bādal aapā kī chuTkī sā chāñd
tum bhī likhnā tum ne us shab kitnī baar piyā paanī
tum ne bhī to chhajje uupar dekhā hogā puurā chāñd
nil-gagan mein tair raha hai ujla ujla pura chand
man ki lori sa bachche ke dudh kaTore jaisa chand
munni ki bholi baaton si chaTkin taron ki kaliyan
pappu ki KHamoshi shararat sa chhup chhup kar ubhra chand
mujh se puchho kaise kaTi main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi mein le kar ghanTon chuma hoga chand
pardesi suni aankhon mein shoale se lahraate hain
bhabi ki chheDon sa baadal aapa ki chuTki sa chand
tum bhi likhna tum ne us shab kitni bar piya pani
tum ne bhi to chhajje upar dekha hoga pura chand
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 32)
- Author : Nida Fazli
- Publication : Mayar Publications Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.