dekha na chand chand ki tanwir dekh li
dekhā na chāñd chāñd kī tanvīr dekh lī
jab tū na mil sakā tirī tasvīr dekh lī
siine meñ ek shab bhī charāġhāñ na ho sakā
is raushnī ke shahr kī taqdīr dekh lī
aayā thā abr jhūmtā sho'le luTā gayā
pyāsī zamīñ ne ḳhvāb kī tā'bīr dekh lī
niklā thā apnī raah ke patthar ko dekhne
lekin ḳhud apnī zāt-e-'ināñ-gīr dekh lī
jab vāhime ke baab meñ pohñchā tirā ḳhayāl
ham ne bayāz-e-qalb kī tahrīr dekh lī
ḳhālī milā na koī qadam dukh kī guuñj se
ham ne har ek paaoñ kī zanjīr dekh lī
dekha na chand chand ki tanwir dekh li
jab tu na mil saka teri taswir dekh li
sine mein ek shab bhi charaghan na ho saka
is raushni ke shahr ki taqdir dekh li
aaya tha abr jhumta sho'le luTa gaya
pyasi zamin ne KHwab ki ta'bir dekh li
nikla tha apni rah ke patthar ko dekhne
lekin KHud apni zat-e-'inan-gir dekh li
jab wahime ke bab mein pohncha tera KHayal
hum ne bayaz-e-qalb ki tahrir dekh li
KHali mila na koi qadam dukh ki gunj se
hum ne har ek paon ki zanjir dekh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.