chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand
chāk-e-dāman ko jo dekhā to milā eid kā chāñd
apnī taqdīr kahāñ bhuul gayā eid kā chāñd
un ke abrū-e-ḳhamīda kī tarah tīkhā hai
apnī āñkhoñ meñ baḌī der chhupā eid kā chāñd
jaane kyuuñ aap ke ruḳhsār mahak uThte haiñ
jab kabhī kaan meñ chupke se kahā eid kā chāñd
duur vīrān basere meñ diyā ho jaise
ġham kī dīvār se dekhā to lagā eid kā chāñd
le ke hālāt ke sahrāoñ meñ aa jaatā hai
aaj bhī ḳhuld kī rañgīn fazā eid kā chāñd
talḳhiyāñ baḌh ga.iiñ jab ziist ke paimāne meñ
ghol kar dard ke māroñ ne piyā eid kā chāñd
chashm to vus.at-e-aflāk meñ khoī 'sāġhar'
dil ne ik aur jagah DhūñD liyā eid kā chāñd
chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand
apni taqdir kahan bhul gaya eid ka chand
un ke abru-e-KHamida ki tarah tikha hai
apni aankhon mein baDi der chhupa eid ka chand
jaane kyun aap ke ruKHsar mahak uThte hain
jab kabhi kan mein chupke se kaha eid ka chand
dur viran basere mein diya ho jaise
gham ki diwar se dekha to laga eid ka chand
le ke haalat ke sahraon mein aa jata hai
aaj bhi KHuld ki rangin faza eid ka chand
talKHiyan baDh gain jab zist ke paimane mein
ghol kar dard ke maron ne piya eid ka chand
chashm to wusat-e-aflak mein khoi 'saghar'
dil ne ek aur jagah DhunD liya eid ka chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.