chahne walon ke har manzar mein hun
chāhne vāloñ ke har manzar meñ huuñ
varna ghar meñ huuñ na maiñ daftar meñ huuñ
maslahat-āmez hai honā mirā
ḳhair meñ huuñ maiñ na ab maiñ shar meñ huuñ
ruuh kā nāTak nahīñ karnā mujhe
jism huuñ aur jism ke paikar meñ huuñ
bhūliye to do-jahānoñ meñ nahīñ
sochiye to aap ke bistar meñ huuñ
toḌ lo dil maiñ jo dil meñ huuñ nihāñ
phoḌ lo ye sar agar maiñ sar meñ huuñ
kaun dastak de rahā hai bār-bār
ye kise mā'lūm thā maiñ ghar meñ huuñ
kyā 'ajab hai der se aanā mirā
maiñ vo avval thā jo ab dīgar meñ huuñ
ye jo manzar par hai sab bekār hai
kyūñki maiñ is vaqt pas-manzar meñ huuñ
chahne walon ke har manzar mein hun
warna ghar mein hun na main daftar mein hun
maslahat-amez hai hona mera
KHair mein hun main na ab main shar mein hun
ruh ka naTak nahin karna mujhe
jism hun aur jism ke paikar mein hun
bhuliye to do-jahanon mein nahin
sochiye to aap ke bistar mein hun
toD lo dil main jo dil mein hun nihan
phoD lo ye sar agar main sar mein hun
kaun dastak de raha hai bar-bar
ye kise ma'lum tha main ghar mein hun
kya 'ajab hai der se aana mera
main wo awwal tha jo ab digar mein hun
ye jo manzar par hai sab bekar hai
kyunki main is waqt pas-manzar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.