jawab do tum kiya hai kis ne tumhein ishaara sawal ye hai
jawab do tum kiya hai kis ne tumhein ishaara sawal ye hai
Qaisar Imran Sialvi
MORE BYQaisar Imran Sialvi
javāb do tum kiyā hai kis ne tumheñ ishāra savāl ye hai
ki aaj tak maiñ ne kyā bigāḌā sanam tumhārā savāl ye hai
qadam qadam pe ghirī huī thī musībatoñ meñ ye ziist terī
ḳhamosh kyoñ hai nahīñ hai is ko agar sañvārā savāl ye hai
huzūr tum ko basāyā dil meñ chhupā ke rakkhā zamāne bhar se
mirī vafāoñ se kyoñ mirī jaañ kiyā kināra savāl ye hai
hamī ne bāham ye tai kiyā thā jiyeñge mil ke mareñge mil ke
mujhe hī hisse meñ kyuuñ milā hai sabhī ḳhasāra savāl ye hai
bahut hī achchhī guzar rahī thī ye ziist apnī hamārī 'qaisar'
chale ho kyuuñ yaar kar ke ham ko yuuñ be-sahārā savāl ye hai
jawab do tum kiya hai kis ne tumhein ishaara sawal ye hai
ki aaj tak main ne kya bigaDa sanam tumhaara sawal ye hai
qadam qadam pe ghiri hui thi musibaton mein ye zist teri
KHamosh kyon hai nahin hai is ko agar sanwara sawal ye hai
huzur tum ko basaya dil mein chhupa ke rakkha zamane bhar se
meri wafaon se kyon meri jaan kiya kinara sawal ye hai
hami ne baham ye tai kiya tha jiyenge mil ke marenge mil ke
mujhe hi hisse mein kyun mila hai sabhi KHasara sawal ye hai
bahut hi achchhi guzar rahi thi ye zist apni hamari 'qaisar'
chale ho kyun yar kar ke hum ko yun be-sahaara sawal ye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.