jaan-e-man mat hanso mere haalat par
jān-e-man mat hañso mere hālāt par
garche tum ko yaqīñ hai mukāfāt par
sach to ye hai ki mehr-o-vafā kuchh nahīñ
har ta'alluq hai qaa.em mafādāt par
rahm aatā nahīñ tum ko hai zālimo
in ġharīboñ yatīmoñ ke hālāt par
shukr us zaat kā jis kī hai ye 'atā
rashk kis baat kā in kamālāt par
apne yāroñ kī jo muḳhbirī par mileñ
thūknā bhī nahīñ aise tamġhāt par
tum ne badle haiñ sau martaba faisle
maiñ khaḌā thā khaḌā huuñ isī baat par
baat 'hāmī' kī ho aur mudallal na ho
thoḌā qaabū rakho apne jazbāt par
jaan-e-man mat hanso mere haalat par
garche tum ko yaqin hai mukafat par
sach to ye hai ki mehr-o-wafa kuchh nahin
har ta'alluq hai qaem mafadat par
rahm aata nahin tum ko hai zalimo
in gharibon yatimon ke haalat par
shukr us zat ka jis ki hai ye 'ata
rashk kis baat ka in kamalat par
apne yaron ki jo muKHbiri par milen
thukna bhi nahin aise tamghat par
tum ne badle hain sau martaba faisle
main khaDa tha khaDa hun isi baat par
baat 'hami' ki ho aur mudallal na ho
thoDa qabu rakho apne jazbaat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.