manzilen tarik niklin ek safar hi rah gaya
manzileñ tārīk niklīñ ik safar hī rah gayā
'umr kī is raakh meñ bas ik sharar hī rah gayā
luT gayā ye shahr apnā is fareb-e-shauq meñ
hasratoñ kī qabr ban kar ik nagar hī rah gayā
ḳhalvatoñ meñ sard-o-sākit ajnabī ik shaḳhs thā
ban gayā tasvīr-e-ġham vo be-ḳhabar hī rah gayā
dil huā vīrān lekin zabt ne rokā mujhe
dāman-e-mizhgāñ pe aTkā ik guhar hī rah gayā
qāfile ruḳhsat hue haiñ āñdhiyoñ ke dasht se
is tabāhī ke bhañvar meñ ik shajar hī rah gayā
tīrgī ke dasht meñ 'az.har' mujhe kyā mil sakā
āsmāñ par ik adhūrā ye qamar hī rah gayā
manzilen tarik niklin ek safar hi rah gaya
'umr ki is rakh mein bas ek sharar hi rah gaya
luT gaya ye shahr apna is fareb-e-shauq mein
hasraton ki qabr ban kar ek nagar hi rah gaya
KHalwaton mein sard-o-sakit ajnabi ek shaKHs tha
ban gaya taswir-e-gham wo be-KHabar hi rah gaya
dil hua viran lekin zabt ne roka mujhe
daman-e-mizhgan pe aTka ek guhar hi rah gaya
qafile ruKHsat hue hain aandhiyon ke dasht se
is tabahi ke bhanwar mein ek shajar hi rah gaya
tirgi ke dasht mein 'azhar' mujhe kya mil saka
aasman par ek adhura ye qamar hi rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.