koi KHayal mere sath chal nahin paya
koī ḳhayāl mire saath chal nahīñ paayā
maiñ tangnā-e-ġhazal se nikal nahīñ paayā
rahā hai 'ishq meñ 'ālam ye kaj-kulāhī kā
ki us ke rang meñ Dhalnā thā Dhal nahīñ paayā
tujhe bhī tere sitāroñ kī chaal ne maarā
mire nasīb kā likkhā bhī Tal nahīñ paayā
maiñ jāntā thā ki tā'bīr kyā nikalnī hai
maiñ apne ḳhvāb ko lekin badal nahīñ paayā
'nadīm' shor thā siine meñ ek dariyā hai
magar ye haal ki ab tak ubal nahīñ paayā
koi KHayal mere sath chal nahin paya
main tangna-e-ghazal se nikal nahin paya
raha hai 'ishq mein 'alam ye kaj-kulahi ka
ki us ke rang mein Dhalna tha Dhal nahin paya
tujhe bhi tere sitaron ki chaal ne mara
mere nasib ka likkha bhi Tal nahin paya
main jaanta tha ki ta'bir kya nikalni hai
main apne KHwab ko lekin badal nahin paya
'nadim' shor tha sine mein ek dariya hai
magar ye haal ki ab tak ubal nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.