jaise ho taqche mein diya aap ka badan
jaise ho tāqche meñ diyā aap kā badan
mauj-e-nasīm-o-band-e-qabā aap kā badan
jugnū se raqs karte hue sang sang haiñ
qaus-e-quzah sī khīñchtā sā aap kā badan
titlī ke saare rang hue pairahan hasīñ
rābīl aur saman se sajā aap kā badan
sīmīñ parind uḌaan bhare jis tarah kahīñ
jaise ho tiir zahr bujhā aap kā badan
har chand chāñd oḌhe hue hai ridā-e-nūr
baḌh kar hī had se dūdhiyā thā aap kā badan
kam-rutba aaj tāj-mahal ke qarīñ huā
yā'nī hai taaj aagrā kā aap kā badan
ai ḳhush-ḳhirām 'afv kareñ darguzar kareñ
zer-e-nigāh-e-'āsī rahā aap kā badan
sharminda-e-qalam na hue hasb-e-hāl ham
kyā aap ḳhush-ḳhisāl haiñ kyā aap kā badan
'hasrat' hadīs-e-soz sunā.ūñgā phir kabhī
ab raakh hūñgā maiñ jo jalā aap kā badan
jaise ho taqche mein diya aap ka badan
mauj-e-nasim-o-band-e-qaba aap ka badan
jugnu se raqs karte hue sang sang hain
qaus-e-quzah si khinchta sa aap ka badan
titli ke sare rang hue pairahan hasin
rabil aur saman se saja aap ka badan
simin parind uDan bhare jis tarah kahin
jaise ho tir zahr bujha aap ka badan
har chand chand oDhe hue hai rida-e-nur
baDh kar hi had se dudhiya tha aap ka badan
kam-rutba aaj taj-mahal ke qarin hua
ya'ni hai taj aagra ka aap ka badan
ai KHush-KHiram 'afw karen darguzar karen
zer-e-nigah-e-'asi raha aap ka badan
sharminda-e-qalam na hue hasb-e-haal hum
kya aap KHush-KHisal hain kya aap ka badan
'hasrat' hadis-e-soz sunaunga phir kabhi
ab rakh hunga main jo jala aap ka badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.