Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum dard ke mare hain bahut tang hawa mein

Kaif Ansari

hum dard ke mare hain bahut tang hawa mein

Kaif Ansari

MORE BYKaif Ansari

    ham dard ke maare haiñ bahut tang havā meñ

    darvāzoñ kī hotī hai 'ajab jang havā meñ

    ehsās na ho jism ko ye baat alag hai

    uḌte hue milte haiñ ka.ī sang havā meñ

    laayā hai unheñ aañkh meñ barsāt kā mausam

    bādal kī vahī chaal vahī rang havā meñ

    mauqa' hai ki 'aks-e-ġham-e-hālāt ko dekhūñ

    har zaḳhm ke shīshe se uḌā zang havā meñ

    ai 'kaif' Thahar jaate haiñ har gaam pe zarre

    aayā na masāfat kā abhī Dhang havā meñ

    hum dard ke mare hain bahut tang hawa mein

    darwazon ki hoti hai 'ajab jang hawa mein

    ehsas na ho jism ko ye baat alag hai

    uDte hue milte hain kai sang hawa mein

    laya hai unhen aankh mein barsat ka mausam

    baadal ki wahi chaal wahi rang hawa mein

    mauqa' hai ki 'aks-e-gham-e-haalat ko dekhun

    har zaKHm ke shishe se uDa zang hawa mein

    ai 'kaif' Thahar jate hain har gam pe zarre

    aaya na masafat ka abhi Dhang hawa mein

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning

    Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

    Speak Now