ye luTi hui si bahaar kyun hai kahan wo jaan-e-bahaar hai
ye luTi hui si bahaar kyun hai kahan wo jaan-e-bahaar hai
Tajwar Najibabadi
MORE BYTajwar Najibabadi
ye luTī huī sī bahār kyuuñ hai kahāñ vo jān-e-bahār hai
ye chaman se kaun chalā gayā ki kalī kalī ko fishār hai
tujhe marhabā ki dil-e-figār ba-hāl-e-zār-o-nazār hai
tire dard-e-'ishq ko āfrīñ mirī zindagī mujhe baar hai
ye anīs-e-ġham-kada-e-qafas hai 'azīz-e-jāñ mujhe ham-nafas
dil-e-dāġh-dār ġham-e-bahār meñ yādgār-e-bahār hai
tumheñ jāñ-faroz banā ke jis ne jahāñ-faroz banā diyā
vo faroġh-e-bazm-e-jamāl kaun hai 'ishq-e-nādira-kār hai
tire baaġh meñ hai bahār tujko mubārak ai mire bāġhbāñ
jo khubā hai merī nazar meñ phuul vo intiḳhāb-e-bahār hai
ġham-e-āshiyāñ mire bāl-o-par ke qafas ko phūñk na de kahīñ
ye naved-e-marg hai ham-qafas ki chaman meñ josh-e-bahār hai
maiñ bahār-e-'umr ko sog-vār-e-bahār ban ke guzār duuñ
tirī ye razā hai to is razā pe bahār-e-'umr nisār hai
nahīñ is meñ shak koī 'tājvar' ki taḌap hai tere kalām meñ
magar is meñ terā kamāl kyā ġham-e-dost dard-nigār hai
ye luTi hui si bahaar kyun hai kahan wo jaan-e-bahaar hai
ye chaman se kaun chala gaya ki kali kali ko fishaar hai
tujhe marhaba ki dil-e-figar ba-haal-e-zar-o-nazar hai
tere dard-e-'ishq ko aafrin meri zindagi mujhe bar hai
ye anis-e-gham-kada-e-qafas hai 'aziz-e-jaan mujhe ham-nafas
dil-e-dagh-dar gham-e-bahaar mein yaadgar-e-bahaar hai
tumhein jaan-faroz bana ke jis ne jahan-faroz bana diya
wo farogh-e-bazm-e-jamal kaun hai 'ishq-e-nadira-kar hai
tere bagh mein hai bahaar tujko mubarak ai mere baghban
jo khuba hai meri nazar mein phul wo intiKHab-e-bahaar hai
gham-e-ashiyan mere baal-o-par ke qafas ko phunk na de kahin
ye nawed-e-marg hai ham-qafas ki chaman mein josh-e-bahaar hai
main bahaar-e-'umr ko sog-war-e-bahaar ban ke guzar dun
teri ye raza hai to is raza pe bahaar-e-'umr nisar hai
nahin is mein shak koi 'tajwar' ki taDap hai tere kalam mein
magar is mein tera kamal kya gham-e-dost dard-nigar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.