shor tha har samt aur dil mein thi gahri KHamushi
shor thā har samt aur dil meñ thī gahrī ḳhāmushī
us samay āvāz terī ek patthar sī lagī
soch terā ruup thī aur lafz the terī tarāsh
āḳhrī tasvīr thī vo dard ke andāz kī
zaḳhm kuchh bharne lage the haath jab ḳhāmosh the
zaḳhm taaza kar ga.ī hai TuuT kar zanjīr bhī
lams thā terā tasavvur rang thā terā badan
shahr meñ har chiiz tere saañs kī āvāz thī
is hujūm-e-be-karāñ meñ kis kī laġhzish thī 'vaqār'
ek chingārī uḌī aur saarī bastī jal ga.ī
shor tha har samt aur dil mein thi gahri KHamushi
us samay aawaz teri ek patthar si lagi
soch tera rup thi aur lafz the teri tarash
aaKHri taswir thi wo dard ke andaz ki
zaKHm kuchh bharne lage the hath jab KHamosh the
zaKHm taza kar gai hai TuT kar zanjir bhi
lams tha tera tasawwur rang tha tera badan
shahr mein har chiz tere sans ki aawaz thi
is hujum-e-be-karan mein kis ki laghzish thi 'waqar'
ek chingari uDi aur sari basti jal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.