ab ke yun usko sada di jae
ab ke yuuñ us ko sadā dī jaa.e
koī dīvār girā dī jaa.e
ab añdherā bhī hai sannāTā bhī
sham'-e-āvāz jalā dī jaa.e
ghar kī sahmī huī dīvāroñ par
koī tasvīr banā dī jaa.e
jis ko dekhā bhī na ho jī bhar ke
kaise vo shakl bhulā dī jaa.e
itnā tanhā huuñ ki jī chāhtā hai
āsmānoñ ko sadā dī jaa.e
tujh ko bhūleñ na tujhe yaad kareñ
yuuñ bhī kuchh 'umr gañvā dī jaa.e
ḳhvāhisheñ chehroñ meñ yuuñ kāñptī haiñ
jaise sham'oñ ko havā dī jaa.e
ab ke yun us ko sada di jae
koi diwar gira di jae
ab andhera bhi hai sannaTa bhi
sham'-e-awaz jala di jae
ghar ki sahmi hui diwaron par
koi taswir bana di jae
jis ko dekha bhi na ho ji bhar ke
kaise wo shakl bhula di jae
itna tanha hun ki ji chahta hai
aasmanon ko sada di jae
tujh ko bhulen na tujhe yaad karen
yun bhi kuchh 'umr ganwa di jae
KHwahishen chehron mein yun kanpti hain
jaise sham'on ko hawa di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.