aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua

Aanis Moin

ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua

Aanis Moin

MORE BYAanis Moin

    ajab talāsh-e-musalsal iḳhtitām huā

    husūl-e-rizq huā bhī to zer-e-dām huā

    thā intizār manāeñge mil ke dīvālī

    na tum lauT ke aa.e na vaqt-e-shām huā

    har ek shahr me.aar muḳhtalif dekhā

    kahīñ pe sar kahīñ pagḌī ehtirām huā

    zarā umr adāvat lambī fehristeñ

    ajiib qarz virāsat meñ mere naam huā

    na thī zamīn meñ vus.at mirī nazar jaisī

    badan thakā bhī nahīñ aur safar tamām huā

    ham apne saath liye phir rahe haiñ pachhtāvā

    ḳhayāl lauT ke jaane gaam gaam huā

    ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua

    husul-e-rizq hua bhi to zer-e-dam hua

    tha intizar manaenge mil ke diwali

    na tum hi lauT ke aae na waqt-e-sham hua

    har ek shahr ka mear muKHtalif dekha

    kahin pe sar kahin pagDi ka ehtiram hua

    zara si umr adawat ki lambi fehristen

    ajib qarz wirasat mein mere nam hua

    na thi zamin mein wusat meri nazar jaisi

    badan thaka bhi nahin aur safar tamam hua

    hum apne sath liye phir rahe hain pachhtawa

    KHayal lauT ke jaane ka gam gam hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ajab talash-e-musalsal ka iKHtitam hua Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now