shab-e-nashat ba-uzr-e-qudum-e-yar baras
shab-e-nashāt ba-'uzr-e-qudūm-e-yār baras
kabhī to Dhang se ai abr-e-nau-bahār baras
havā ke raag pe hai terā shor taal kī Dor
jo baar baar zarūrat ho baar baar baras
is aarzū meñ ki ik raat vo bhī hoñ tū bhī
abad kī god meñ kaaTe haiñ tiin chaar baras
shahoñ ke qasr to shādāb haiñ bahar mausam
kahīñ ba-pās-e-gadāyān-e-rah-guzār baras
tujhe qasam mirī mizhgān-e-ġham kī abr-e-karam
bayād-e-mahfil-e-yārān-o-bazm-e-yār baras
vo kafash-hā-e-zar-afshāñ vo āñchaloñ ke nishāñ
barā.e-zīnat-e-ḳhūbān-e-tarh-dār baras
kalā.iyoñ kī vo sham'eñ vo phuul se chehre
barā.e-māh jabīnān-e-gul-'ezār baras
baras ki gard-e-kudūrat diloñ se dhul jaa.e
ba-jam'-e-ḳhātir-e-ahbāb-e-ġham-gusār baras
zamāna kahtā hai ab ḳhār-o-ḳhas kā haq pahchān
barū-e-dasht-o-bayābān-o-kohsār baras
kisī ke saqf-o-dar-o-bām ko haqīr na jaan
ba-kāḳh-e-kohna-o-imlāk-e-zar-nigār baras
ġhazal 'azīz' kī misra' 'azīz' kā 'ābid'
baras baras ke din ai abr-e-nau-bahār baras
shab-e-nashat ba-'uzr-e-qudum-e-yar baras
kabhi to Dhang se ai abr-e-nau-bahaar baras
hawa ke rag pe hai tera shor tal ki Dor
jo bar bar zarurat ho bar bar baras
is aarzu mein ki ek raat wo bhi hon tu bhi
abad ki god mein kaTe hain tin chaar baras
shahon ke qasr to shadab hain bahar mausam
kahin ba-pas-e-gadayan-e-rah-guzar baras
tujhe qasam meri mizhgan-e-gham ki abr-e-karam
bayaad-e-mahfil-e-yaran-o-bazm-e-yar baras
wo kafash-ha-e-zar-afshan wo aanchalon ke nishan
barae-zinat-e-KHuban-e-tarh-dar baras
kalaiyon ki wo sham'en wo phul se chehre
barae-mah jabinan-e-gul-'ezar baras
baras ki gard-e-kudurat dilon se dhul jae
ba-jam'-e-KHatir-e-ahbab-e-gham-gusar baras
zamana kahta hai ab KHar-o-KHas ka haq pahchan
baru-e-dasht-o-bayaban-o-kohsar baras
kisi ke saqf-o-dar-o-baam ko haqir na jaan
ba-kaKH-e-kohna-o-imlak-e-zar-nigar baras
ghazal 'aziz' ki misra' 'aziz' ka 'abid'
baras baras ke din ai abr-e-nau-bahaar baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.