Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zist ke ehtimam jaanti hai

Jawad Sarwar Syed

zist ke ehtimam jaanti hai

Jawad Sarwar Syed

MORE BYJawad Sarwar Syed

    ziist ke ehtimām jāntī hai

    yā'nī ādāb-e-shām jāntī hai

    kab rukūñgā chalūñgā maiñ kis dam

    vo mirā har ḳhirām jāntī hai

    maiñ nikammā huā mohabbat meñ

    vo magar saare kaam jāntī hai

    yā'nī āzād ek panchhī hai

    yā'nī duniyā ke daam jāntī hai

    Thiik hogā nahīñ jahān-e-ḳharāb

    vo yahāñ kā nizām jāntī hai

    kuchh gile aur bahut sī tā'rīfeñ

    yā'nī sab intizām jāntī hai

    jī rahī hai kuchh aisī 'ujlat meñ

    ziist ko tezgām jāntī hai

    zist ke ehtimam jaanti hai

    ya'ni aadab-e-sham jaanti hai

    kab rukunga chalunga main kis dam

    wo mera har KHiram jaanti hai

    main nikamma hua mohabbat mein

    wo magar sare kaam jaanti hai

    ya'ni aazad ek panchhi hai

    ya'ni duniya ke dam jaanti hai

    Thik hoga nahin jahan-e-KHarab

    wo yahan ka nizam jaanti hai

    kuchh gile aur bahut si ta'rifen

    ya'ni sab intizam jaanti hai

    ji rahi hai kuchh aisi 'ujlat mein

    zist ko tezgam jaanti hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now