mumkin hai zanjir chhupi ho kangan mein
mumkin hai zanjir chhupi ho kangan mein
Rajnishwar Chauhan Rajnish
MORE BYRajnishwar Chauhan Rajnish
mumkin hai zanjīr chhupī ho kangan meñ
ġhaur karo kuchh jhan-jhan bhī hai khan-khan meñ
aaj āñgan chhoTā lagtā hai aur ghar bhī
kabhī hamāre ghar bante the āñgan meñ
aaj bhī jaane vaale kā hissa baaqī hai
aaj bhī khānā rah jaatā hai bartan meñ
jis ne vaqt lagā kar mujh se 'ishq kiyā
us ne shādī kar lī ānan-fānan meñ
merā musalsal ronā sab ke kaam aayā
har pyāse kī pyaas bujhī is sāvan meñ
mumkin hai zanjir chhupi ho kangan mein
ghaur karo kuchh jhan-jhan bhi hai khan-khan mein
aaj aangan chhoTa lagta hai aur ghar bhi
kabhi hamare ghar bante the aangan mein
aaj bhi jaane wale ka hissa baqi hai
aaj bhi khana rah jata hai bartan mein
jis ne waqt laga kar mujh se 'ishq kiya
us ne shadi kar li aanan-fanan mein
mera musalsal rona sab ke kaam aaya
har pyase ki pyas bujhi is sawan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.