Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap

Bekhud Dehlvi

aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap

Bekhud Dehlvi

āshiq samajh rahe haiñ mujhe dil lagī se aap

vāqif nahīñ abhī mire dil lagī se aap

dil bhī kabhī milā ke mile haiñ kisī se aap

milne ko roz milte haiñ yuuñ to sabhī se aap

sab ko javāb degī nazar hasb-e-mudda.ā

sun liije sab baat na kiije kisī se aap

marnā mirā ilaaj to be-shak hai soch luuñ

ye dostī se kahte haiñ dushmanī se aap

hogā judā ye haath na gardan se vasl meñ

Dartā huuñ uḌ na jaa.eñ kahīñ nāzukī se aap

zāhid ḳhudā gavāh hai hote falak par aaj

lete ḳhudā naam agar āshiqī se aap

ab ghūrne se fā.eda bazm-e-raqīb meñ

dil par chhurī to pher chuke be-ruḳhī se aap

dushman zikr kyā hai javāb us dījiye

raste meñ kal mile the kisī aadmī se aap

shohrat hai mujh se husn is mujhe hai rashk

hote haiñ mustafīz mirī zindagī se aap

dil to nahīñ kisī tujhe toḌte haiñ ham

pahle chaman meñ pūchh leñ itnā kalī se aap

maiñ bevafā huuñ ġhair nihāyat vafā shi.ār

merā salām liije mileñ ab usī se aap

aadhī to intizār meñ shab guzar ga.ī

us par ye turra so bhī raheñge abhī se aap

badlā ye ruup aap ne kyā bazm-e-ġhair meñ

ab tak mirī nigāh meñ haiñ ajnabī se aap

parde meñ dostī ke sitam kis qadar hue

maiñ kyā batā.ūñ pūchhiye ye apne se aap

ai shaiḳh aadmī ke bhī darje haiñ muḳhtalif

insān haiñ zarūr magar vājibī se aap

mujh se salāh na ijāzat talab huī

be-vaj.h ruuTh baiThe haiñ apnī ḳhushī se aap

'beḳhud' yahī to umr hai aish o nashāt

dil meñ na apne tauba Thāneñ abhī se aap

aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap

waqif nahin abhi mere dil ki lagi se aap

dil bhi kabhi mila ke mile hain kisi se aap

milne ko roz milte hain yun to sabhi se aap

sab ko jawab degi nazar hasb-e-muddaa

sun lije sab ki baat na kije kisi se aap

marna mera ilaj to be-shak hai soch lun

ye dosti se kahte hain ya dushmani se aap

hoga juda ye hath na gardan se wasl mein

Darta hun uD na jaen kahin nazuki se aap

zahid KHuda gawah hai hote falak par aaj

lete KHuda ka nam agar aashiqi se aap

ab ghurne se faeda bazm-e-raqib mein

dil par chhuri to pher chuke be-ruKHi se aap

dushman ka zikr kya hai jawab us ka dijiye

raste mein kal mile the kisi aadmi se aap

shohrat hai mujh se husn ki is ka mujhe hai rashk

hote hain mustafiz meri zindagi se aap

dil to nahin kisi ka tujhe toDte hain hum

pahle chaman mein puchh len itna kali se aap

main bewafa hun ghair nihayat wafa shiar

mera salam lije milen ab usi se aap

aadhi to intizar hi mein shab guzar gai

us par ye turra so bhi rahenge abhi se aap

badla ye rup aap ne kya bazm-e-ghair mein

ab tak meri nigah mein hain ajnabi se aap

parde mein dosti ke sitam kis qadar hue

main kya bataun puchhiye ye apne ji se aap

ai shaiKH aadmi ke bhi darje hain muKHtalif

insan hain zarur magar wajibi se aap

mujh se salah li na ijazat talab hui

be-wajh ruTh baiThe hain apni KHushi se aap

'beKHud' yahi to umr hai aish o nashat ki

dil mein na apne tauba ki Thanen abhi se aap

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now