junun chahiye hausla chahiye hai
junūñ chāhiye hausla chāhiye hai
agar 'ishq meñ martaba chāhiye hai
na uljhā kareñ vo mire mas.aloñ meñ
jinheñ apne sar kī baqā chāhiye hai
tabīb-e-dil-e-zār ko bhī ḳhabar ho
mujhe ab mukammal shifā chāhiye hai
kahāñ tak chalūñ maiñ ḳhirad ke sahāre
junūñ kī mujhe intihā chāhiye hai
sabā us ke pīchhe chalo tum ḳhudā-rā
mujhe us ke ghar kā pata chāhiye hai
miTānā hai ḳhud ko tirī justujū meñ
tire 'ishq meñ ab fanā chāhiye hai
tasavvur meñ tere ulajhtā rahūñ maiñ
mujhe ab yahī silsila chāhiye hai
koī pūchhe mujh se mirī aarzū bhī
mujhe bas tirā naqsh-e-pā chāhiye hai
junun chahiye hausla chahiye hai
agar 'ishq mein martaba chahiye hai
na uljha karen wo mere masalon mein
jinhen apne sar ki baqa chahiye hai
tabib-e-dil-e-zar ko bhi KHabar ho
mujhe ab mukammal shifa chahiye hai
kahan tak chalun main KHirad ke sahaare
junun ki mujhe intiha chahiye hai
saba us ke pichhe chalo tum KHuda-ra
mujhe us ke ghar ka pata chahiye hai
miTana hai KHud ko teri justuju mein
tere 'ishq mein ab fana chahiye hai
tasawwur mein tere ulajhta rahun main
mujhe ab yahi silsila chahiye hai
koi puchhe mujh se meri aarzu bhi
mujhe bas tera naqsh-e-pa chahiye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.