chalte chalte raat ki tarikiyon mein aaj bhi
chalte chalte raat kī tārīkiyoñ meñ aaj bhī
bhiig jaatā huuñ maiñ aksar āñsuoñ meñ aaj bhī
haath se us ne sañvārā thā inheñ bas ek baar
ḳham nahīñ paḌtā hai mere gesuoñ meñ aaj bhī
āshiyāna jal chukā hai bulbuleñ bhī jā chukīñ
par na jaane kyuuñ namī hai shāḳh-choñ meñ aaj bhī
rāste par raat kī tanhā.ī meñ chalte hue
vasl-e-jānāñ DhūñDtā huuñ hādsoñ meñ aaj bhī
ashk ko āñkhoñ meñ hī maiñ rok bhī luuñ to bhī kyā
gūñjtī hai aah merī qahqahoñ meñ aaj bhī
phuul keh kar aap ne mujh par kabhī pheñkā jinheñ
ḳhuun merā jazb hai un pattharoñ meñ aaj bhī
dil nahīñ lagtā hai 'safdar' is jahāñ meñ ab magar
be-sabātī sī hai mere faisloñ meñ aaj bhī
chalte chalte raat ki tarikiyon mein aaj bhi
bhig jata hun main aksar aansuon mein aaj bhi
hath se us ne sanwara tha inhen bas ek bar
KHam nahin paDta hai mere gesuon mein aaj bhi
aashiyana jal chuka hai bulbulen bhi ja chukin
par na jaane kyun nami hai shaKH-chon mein aaj bhi
raste par raat ki tanhai mein chalte hue
wasl-e-jaanan DhunDta hun hadson mein aaj bhi
ashk ko aankhon mein hi main rok bhi lun to bhi kya
gunjti hai aah meri qahqahon mein aaj bhi
phul keh kar aap ne mujh par kabhi phenka jinhen
KHun mera jazb hai un pattharon mein aaj bhi
dil nahin lagta hai 'safdar' is jahan mein ab magar
be-sabaati si hai mere faislon mein aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.