aahaT jo sunai di hai hijr ki shab ki hai
aahaT jo sunā.ī dī hai hijr kī shab kī hai
ye raa.e akelī merī nahīñ hai sab kī hai
sunsān saḌak sannāTe aur lambe saa.e
ye saarī fazā ai dil tere matlab kī hai
tirī diid se āñkheñ jī bhar ke sairāb huiiñ
kis roz huā thā aisā baat ye kab kī hai
tujhe bhuul gayā kabhī yaad nahīñ kartā tujh ko
jo baat bahut pahle karnī thī ab kī hai
mire sūraj aa! mire jism pe apnā saaya kar
baḌī tez havā hai sardī aaj ġhazab kī hai
aahaT jo sunai di hai hijr ki shab ki hai
ye rae akeli meri nahin hai sab ki hai
sunsan saDak sannaTe aur lambe sae
ye sari faza ai dil tere matlab ki hai
teri did se aankhen ji bhar ke sairab huin
kis roz hua tha aisa baat ye kab ki hai
tujhe bhul gaya kabhi yaad nahin karta tujh ko
jo baat bahut pahle karni thi ab ki hai
mere suraj aa! mere jism pe apna saya kar
baDi tez hawa hai sardi aaj ghazab ki hai
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 335)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.