na to kaarvaa.n kii talaash hai na to raahbar kii talaash hai

Sahir Ludhianvi
MORE BYSahir Ludhianvi
Interesting Fact
“Na To Karavan Ki Talaash Hai” is a famous song written by renowned lyricist Sahir Ludhianvi. It was featured as a qawwali in the 1960 Bollywood film “Barsaat Ki Raat.” The music was composed by Roshan, and it was sung by Manna Dey, Asha Bhosle, Sudha Malhotra, S. D. Batish, and Mohammed Rafi. Later, the opening line (mukhda) of this song was also used in the 2026 film “Dhurandhar.”
na to kaarvaa.n kii talaash hai na to raahbar kii talaash hai
mere shauq-e-KHaana-KHaraab ko terii rah-guzar kii talaash hai
mere naa-muraad junuun kaa hai 'ilaaj ko.ii to maut hai
jo davaa ke naam pe zahr de usii chaara-gar kii talaash hai
teraa 'ishq hai merii aarzuu teraa 'ishq hai merii aabruu
teraa 'ishq mai.n kaise chho.D duu.n merii 'umr bhar kii talaash hai
dil 'ishq jism 'ishq hai aur jaan 'ishq hai
iimaan kii jo puuchho to iimaan 'ishq hai

vahshat-e-dil rasan-o-daar se rokii na ga.ii
kisii KHanjar kisii talvaar se rokii na ga.ii
'ishq majnuu.n kii vo aavaaz hai jis ke aage
ko.ii lailaa kisii diivaar se rokii na ga.ii
ye 'ishq 'ishq hai
vo ha.ns ke agar maa.nge to ham jaan bhii de de.n
ye jaan to kyaa chiiz hai.n iimaan bhii de de.n
'ishq aazaad hai hinduu na musalmaan hai 'ishq
aap hii dharm hai aap hii iimaan hai 'ishq
jis se aagaah nahii.n shaiKH-o-barahman dono.n
us haqiiqat kaa garajtaa hu.aa e'laan hai 'ishq
'ishq na puuchhe diin dharm nuu.n 'ishq na puuchhe zaataa.n
'ishq de hattho.n garm lahuu vich Dubiyaa.n lakh baraataa.n
ye 'ishq 'ishq hai
jab jab krishn kii bansii baajii niklii raadhaa ghar se
jaan anjaan kaa bhed bhulaa ke lok laaj ko taj ke
ban ban Dolii junk dulaarii pahn ke prem kii maalaa
darshan jal kii pyaasii miiraa pii ga.ii vish kaa pyaalaa
ye 'ishq 'ishq hai
allaah aur rasuul kaa farmaan 'ishq hai
yaa'nii hadiis 'ishq hai qur.aan 'ishq hai
gautam kaa aur masiihaa kaa armaan 'ishq hai
ye kaa.inaat 'ishq hai aur jaan 'ishq hai
'ishq sarmad 'ishq hii mansuur hai
'ishq muusaa 'ishq koh-e-nuur hai
KHaak ko but aur but ko devtaa kartaa hai 'ishq
intihaa ye hai ki bande ko KHudaa kartaa hai 'ishq

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.