yahi nahin ki nazar ko jhukana paDta hai
yahi nahin ki nazar ko jhukana paDta hai
Aziz Ahmad Khan Shafaq
MORE BYAziz Ahmad Khan Shafaq
yahī nahīñ ki nazar ko jhukānā paḌtā hai
palak uThā.ūñ to ik tāziyāna paḌtā hai
vo saath meñ hai magar sab amānateñ de kar
tamām bojh hamīñ ko uThānā paḌtā hai
maiñ us dayār meñ bhejā gayā huuñ sar de kar
qadam qadam pe jahāñ āstāna paḌtā hai
añdherā itnā hai ab shahr ke muhāfiz ko
har ek raat koī ghar jalānā paḌtā hai
tamām bazm ḳhafā hai magar na jaane kyuuñ
mushā.ire meñ 'shafaq' ko bulānā paḌtā hai
yahi nahin ki nazar ko jhukana paDta hai
palak uThaun to ek taziyana paDta hai
wo sath mein hai magar sab amanaten de kar
tamam bojh hamin ko uThana paDta hai
main us dayar mein bheja gaya hun sar de kar
qadam qadam pe jahan aastana paDta hai
andhera itna hai ab shahr ke muhafiz ko
har ek raat koi ghar jalana paDta hai
tamam bazm KHafa hai magar na jaane kyun
mushaire mein 'shafaq' ko bulana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.