aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un intizar ke mare huon ka dukh samjho

Shivendra Singh

un intizar ke mare huon ka dukh samjho

Shivendra Singh

MORE BYShivendra Singh

    un intizār ke maare huoñ dukh samjho

    hamārā hijr visāle huoñ dukh samjho

    samajh meñ aa.e to samjho kabhī hamārā dukh

    phir us ke baad hamāre huoñ dukh samjho

    pahāḌ din ko udāsī se kāTne vaalo

    sutūn-e-shab ko sañbhāle huoñ dukh samjho

    unheñ maiñ bhuul gayā ro liyā jinheñ bhar

    hamārī aañkh ke dhāre huoñ dukh samjho

    hameñ ḳhabar hai koī sub.h tak bachegā nahīñ

    so ham charāġh bujhāte huoñ dukh samjho

    un intizar ke mare huon ka dukh samjho

    hamara hijr visale huon ka dukh samjho

    samajh mein aae to samjho kabhi hamara dukh

    phir us ke baad hamare huon ka dukh samjho

    pahaD din ko udasi se kaTne walo

    sutun-e-shab ko sanbhaale huon ka dukh samjho

    unhen main bhul gaya ro liya jinhen ji bhar

    hamari aankh ke dhaare huon ka dukh samjho

    hamein KHabar hai koi subh tak bachega nahin

    so hum charagh bujhate huon ka dukh samjho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now