Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ujDe hue logon se gurezan na hua kar

Mohsin Naqvi

ujDe hue logon se gurezan na hua kar

Mohsin Naqvi

ujḌe hue logoñ se gurezāñ na huā kar

hālāt qabroñ ke ye katbe bhī paḌhā kar

kyā jāniye kyuuñ tez havā soch meñ gum hai

ḳhvābīda parindoñ ko daraḳhtoñ se uḌā kar

us shaḳhs ke tum se bhī marāsim haiñ to hoñge

vo jhuuT na bolegā mire sāmne aa kar

har vaqt hañsnā tujhe barbād na kar de

tanhā.ī ke lamhoñ meñ kabhī ro bhī liyā kar

vo aaj bhī sadiyoñ masāfat pe khaḌā hai

DhūñDā thā jise vaqt dīvār girā kar

ai dil tujhe dushman bhī pahchān kahāñ hai

halqa-e-yārāñ meñ bhī mohtāt rahā kar

is shab ke muqaddar meñ sahar nahīñ 'mohsin'

dekhā hai ka.ī baar charāġhoñ ko bujhā kar

ujDe hue logon se gurezan na hua kar

haalat ki qabron ke ye katbe bhi paDha kar

kya jaaniye kyun tez hawa soch mein gum hai

KHwabida parindon ko daraKHton se uDa kar

us shaKHs ke tum se bhi marasim hain to honge

wo jhuT na bolega mere samne aa kar

har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de

tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar

wo aaj bhi sadiyon ki masafat pe khaDa hai

DhunDa tha jise waqt ki diwar gira kar

ai dil tujhe dushman ki bhi pahchan kahan hai

tu halqa-e-yaran mein bhi mohtat raha kar

is shab ke muqaddar mein sahar hi nahin 'mohsin'

dekha hai kai bar charaghon ko bujha kar

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Aadil Qureshi

Aadil Qureshi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now