Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamanna apni un par aashkara kar raha hun main

Fareed Parbati

tamanna apni un par aashkara kar raha hun main

Fareed Parbati

MORE BYFareed Parbati

    tamannā apnī un par āshkārā kar rahā huuñ maiñ

    jo pahle kar chukā huuñ ab dobārā kar rahā huuñ maiñ

    shikast-e-ārzū arz-e-tamannā shauq-e-lā-hāsil

    tirī ḳhātir to ye sab kuchh gavārā kar rahā huuñ maiñ

    qafas meñ bahalne ke liye vo phuul rakh aa.e

    hujūm-e-yās meñ jin par guzārā kar rahā huuñ maiñ

    ġharaz us chiiz se mujh ko nahīñ merī na jo hogī

    ye baa.is hai ki duniyā se kinārā kar rahā huuñ maiñ

    maiñ khul kar kah nahīñ saktā niyāz-e-ishq bāteñ

    faqat un taraf bas ik ishārā kar rahā huuñ maiñ

    mire sar par hai baaqī ek saaya mere maazī

    sambhal kar asr-e-hāzir nazārā kar rahā huuñ maiñ

    'farīd' ik din sahāre zindagī ke TuuT jā.eñge

    sabab ye hai ki ḳhud ko be-sahārā kar rahā huuñ maiñ

    tamanna apni un par aashkara kar raha hun main

    jo pahle kar chuka hun ab dobara kar raha hun main

    shikast-e-arzu arz-e-tamanna shauq-e-la-hasil

    teri KHatir to ye sab kuchh gawara kar raha hun main

    qafas mein ji bahalne ke liye wo phul rakh aae

    hujum-e-yas mein jin par guzara kar raha hun main

    gharaz us chiz se mujh ko nahin meri na jo hogi

    ye bais hai ki duniya se kinara kar raha hun main

    main khul kar kah nahin sakta niyaz-e-ishq ki baaten

    faqat un ki taraf bas ek ishaara kar raha hun main

    mere sar par hai baqi ek saya mere mazi ka

    sambhal kar asr-e-hazir ka nazara kar raha hun main

    'farid' ek din sahaare zindagi ke TuT jaenge

    sabab ye hai ki KHud ko be-sahaara kar raha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now