Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujhko

Ali Zaryoun

sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujhko

Ali Zaryoun

sukūt-e-shām hissa mat banā mujh ko

maiñ rang huuñ so kisī mauj meñ milā mujh ko

maiñ in dinoñ tirī āñkhoñ ke iḳhtiyār meñ huuñ

jamāl-e-sabz kisī tajrabe meñ mujh ko

maiñ būḌhe jism zillat uThā nahīñ saktā

kisī qadīm tajallī se kar nayā mujh ko

maiñ apne hone takmīl chāhtā huuñ sakhī

so ab badan hirāsat se kar rihā mujh ko

mujhe charāġh hairat bhī ho chukī mā'lūm

ab is se aage koī rāsta batā mujh ko

us ism-e-ḳhās tarkīb se banā huuñ maiñ

mohabbatoñ ke talaffuz se kar nayā mujh ko

darūn-e-sīna jise dil samajh rahā thā 'alī'

vo niilī aag hai ye ab patā chalā mujh ko

sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko

main rang hun so kisi mauj mein mila mujh ko

main in dinon teri aankhon ke iKHtiyar mein hun

jamal-e-sabz kisi tajrabe mein la mujh ko

main buDhe jism ki zillat uTha nahin sakta

kisi qadim tajalli se kar naya mujh ko

main apne hone ki takmil chahta hun sakhi

so ab badan ki hirasat se kar riha mujh ko

mujhe charagh ki hairat bhi ho chuki ma'lum

ab is se aage koi rasta bata mujh ko

us ism-e-KHas ki tarkib se bana hun main

mohabbaton ke talaffuz se kar naya mujh ko

darun-e-sina jise dil samajh raha tha 'ali'

wo nili aag hai ye ab pata chala mujh ko

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Javed Naseem

Javed Naseem

Source :
  • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 26.09.2015)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now