Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shayad meri fariyaad sunai nahin deti

Midhat-ul-Akhtar

shayad meri fariyaad sunai nahin deti

Midhat-ul-Akhtar

shāyad mirī fariyād sunā.ī nahīñ detī

qudarat jo mujhe hukm-e-rihā.ī nahīñ detī

thā pahle bahut shor nihāñ-ḳhāna-e-dil meñ

ab to koī siskī bhī sunā.ī nahīñ detī

ḳhvāboñ tijārat meñ yahī ek kamī hai

chaltī hai dukāñ ḳhuub kamā.ī nahīñ detī

har tār-e-nafas hai mut.harrik mutvātir

ruḳhsat mujhe naġhma-sarā.ī nahīñ detī

kyā dhund hai ashkoñ musallat dil o jaañ par

dekhī huī duniyā bhī dikhā.ī nahīñ detī

chalne ko to sab yaar kamar-basta khaḌe haiñ

jis raah pe chalnā hai sujhā.ī nahīñ detī

kāñToñ pe chalātī hai koī aur lazzat

vahshat sila ābla-pā.ī nahīñ detī

maiñ qaid-e-mahālāt se dam bhar meñ nikal jā.ūñ

hāsil havas mujh ko rihā.ī nahīñ detī

maiñ apnī miTTī se banā letā huuñ 'mid.hat'

vo chiiz jo auroñ ḳhudā.ī nahīñ detī

shayad meri fariyaad sunai nahin deti

qudarat jo mujhe hukm-e-rihai nahin deti

tha pahle bahut shor nihan-KHana-e-dil mein

ab to koi siski bhi sunai nahin deti

KHwabon ki tijarat mein yahi ek kami hai

chalti hai dukan KHub kamai nahin deti

har tar-e-nafas hai mutharrik mutwatir

ruKHsat hi mujhe naghma-sarai nahin deti

kya dhund hai ashkon ki musallat dil o jaan par

dekhi hui duniya bhi dikhai nahin deti

chalne ko to sab yar kamar-basta khaDe hain

jis rah pe chalna hai sujhai nahin deti

kanTon pe chalati hai koi aur hi lazzat

wahshat ka sila aabla-pai nahin deti

main qaid-e-mahaalat se dam bhar mein nikal jaun

hasil ki hawas mujh ko rihai nahin deti

main apni hi miTTi se bana leta hun 'midhat'

wo chiz jo auron ki KHudai nahin deti

Source :
  • Book : shab khuun (rekhta website)(292) (Pg. 36)
  • Publication : rani mandi allahabad (2005)
  • Edition : 2005

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now