Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sauda-e-ishq yun bhi utarna to hai nahin

Parvez Sahir

sauda-e-ishq yun bhi utarna to hai nahin

Parvez Sahir

saudā-e-ishq yuuñ bhī utarnā to hai nahīñ

ye zaḳhm-e-rūh hai ise bharnā to hai nahīñ

sau baar aa.ina bhī jo dekheñ to fā.eda?

sūrat ko ḳhud-baḳhud sañvarnā to hai nahīñ

mujh ko ḳhabar hai dahr meñ zinda rahūñgā maiñ

'bullhe' tarah mar ke bhī marnā to hai nahīñ

jis lahr ko nigal ga.ī ik lahr dūsrī

us lahr ko dobāra ubharnā to hai nahīñ

jo yaqīn kar le ki vo hai to phir vo hai

shai vajūd asl meñ varna to hai nahīñ!

dharnā.ī tarah se jo dharnā bhī duuñ to kyaa?

dhartī pe us ne phir bhī utarnā to hai nahīñ

kartā huuñ ḳhud mab.has o taqrīr se gurez

tark-e-ta.alluq aap se karnā to hai nahīñ

vo jis ko apne-āp se lagtā nahīñ hai Dar

us ko ḳhudā zaat se Darnā to hai nahīñ

kyuuñ us ke intizār meñ baiThā huuñ der se?

is rah-guzar se us ne guzarnā to hai nahīñ

'sāhir' ye merā dīda-e-giryāñ hai aur maiñ

sahrā meñ koī dūsrā jharnā to hai nahīñ

sauda-e-ishq yun bhi utarna to hai nahin

ye zaKHm-e-ruh hai ise bharna to hai nahin

sau bar aaina bhi jo dekhen to faeda?

surat ko KHud-baKHud hi sanwarna to hai nahin

mujh ko KHabar hai dahr mein zinda rahunga main

'bullhe' ki tarah mar ke bhi marna to hai nahin

jis lahr ko nigal gai ek lahr dusri

us lahr ko dobara ubharna to hai nahin

tu jo yaqin kar le ki wo hai to phir wo hai

shai ka wajud asl mein warna to hai nahin!

dharnai ki tarah se jo dharna bhi dun to kya?

dharti pe us ne phir bhi utarna to hai nahin

karta hun KHud hi mabhas o taqrir se gurez

tark-e-talluq aap se karna to hai nahin

wo jis ko apne-ap se lagta nahin hai Dar

us ko KHuda ki zat se Darna to hai nahin

kyun us ke intizar mein baiTha hun der se?

is rah-guzar se us ne guzarna to hai nahin

'sahir' ye mera dida-e-giryan hai aur main

sahra mein koi dusra jharna to hai nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now