Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa humne

Abdul Aziz Khalid

qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa humne

Abdul Aziz Khalid

qazā se qarz kis mushkil se umr-e-baqā ham ne

matā-e-zindagī de kar kiyā ye qarz adā ham ne

hameñ kis ḳhvāb se lalchā.egī ye pur-fusūñ duniyā

khurach Daalā hai lauh-e-dil se harf-e-mudda.ā ham ne

kareñ lab ko na ālūda kabhī harf-e-shikāyat se

shi.ār apnā banāyā sheva-e-sabr-o-razā ham ne

ham us ke haiñ sarāpā adbadā kar us se kyā māñgeñ

uThāyā hai kabhī ai mudda.ī dast-e-duā ham ne

shahīdān-e-vafā manqabat likhte rahe lekin

na arzī ḳhudāoñ kabhī hamd-o-sanā ham ne

parakhne vaale parkheñge isī me.aar par ham ko

jahāñ se kyā liyā ham ne jahāñ ko kyā diyā ham ne

vahī insāñ jahāñ jaao vahī hirmāñ jidhar dekho

bapā-e-ḳhufta sayyāhī-e-mulk-e-ḳhudā ham ne

luTā zauq-e-safar bhī kārvāñ aise lagtā hai

sunā har taaza pesh-āhañg shor-e-darā ham ne

sitam-ārāo sun lo āḳhirī bardāsht had tak

sahā har nā-ravā ham ne sunā har nā-sazā ham ne

ye duzdīda nigāheñ haiñ ki dil lene rāheñ haiñ

hamesha dīda-o-dānista khaa.ī hai ḳhatā ham ne

kashākash ham se pūchhe koī nā-āsūda ḳhvāhish

hasīnoñ se bahut bāñdhe haiñ paimān-e-vafā ham ne

kiyā takmīl-e-naqsh-e-nā-tamām-e-shauq ḳhātir

jau tum se ho sakā tum ne jau ham se ho sakā ham ne

'irāqī' tarah 'ḳhālid' ko kyuuñ badnām karte haiñ

na dekhā koī aisā ḳhush-navاa-e-benavā ham ne

qaza se qarz kis mushkil se li umr-e-baqa hum ne

mata-e-zindagi de kar kiya ye qarz ada hum ne

hamein kis KHwab se lalchaegi ye pur-fusun duniya

khurach Dala hai lauh-e-dil se harf-e-muddaa hum ne

karen lab ko na aaluda kabhi harf-e-shikayat se

shiar apna banaya shewa-e-sabr-o-raza hum ne

hum us ke hain sarapa adbada kar us se kya mangen

uThaya hai kabhi ai muddai dast-e-dua hum ne

shahidan-e-wafa ki manqabat likhte rahe lekin

na ki arzi KHudaon ki kabhi hamd-o-sana hum ne

parakhne wale parkhenge isi mear par hum ko

jahan se kya liya hum ne jahan ko kya diya hum ne

wahi insan jahan jao wahi hirman jidhar dekho

bapa-e-KHufta ki sayyahi-e-mulk-e-KHuda hum ne

luTa zauq-e-safar bhi karwan ka aise lagta hai

suna har taza pesh-ahang ka shor-e-dara hum ne

sitam-arao sun lo aaKHiri bardasht ki had tak

saha har na-rawa hum ne suna har na-saza hum ne

ye duzdida nigahen hain ki dil lene ki rahen hain

hamesha dida-o-danista khai hai KHata hum ne

kashakash hum se puchhe koi na-asuda KHwahish ki

hasinon se bahut bandhe hain paiman-e-wafa hum ne

kiya takmil-e-naqsh-e-na-tamam-e-shauq ki KHatir

jau tum se ho saka tum ne jau hum se ho saka hum ne

'iraqi' ki tarah 'KHalid' ko kyun badnam karte hain

na dekha koi aisa KHush-nawاa-e-benawa hum ne

Source :
  • Book : sarab-e-sahil (Pg. 53)
  • Author : Abdul Aziz Khalid
  • Publication : Maqbool Acedami, Lahore (2010)
  • Edition : 2010
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now