Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh

Shakeb Jalali

murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh

Shakeb Jalali

murjhā ke kaalī jhiil meñ girte hue bhī dekh

sūraj huuñ merā rang magar din-Dhale bhī dekh

kāġhaz katranoñ ko bhī kahte haiñ log phuul

rangoñ e'tibār kyā sūñgh ke bhī dekh

har chand raakh ho ke bikharnā hai raah meñ

jalte hue paroñ se uḌā huuñ mujhe bhī dekh

dushman hai raat phir bhī hai din se milī huī

sub.hoñ ke darmiyān haiñ jo fāsle bhī dekh

'ālam meñ jis dhuum thī us shāhkār par

dīmak ne jo likhe kabhī vo tabsire bhī dekh

ne kahā na thā ki maiñ kashtī pe bojh huuñ

āñkhoñ ko ab na Dhāñp mujhe Dūbte bhī dekh

us shikast ho na kahīñ terī bhī shikast

ye aa.ina jo TuuT gayā hai ise bhī dekh

barahna-pā nahīñ is jaltī ret par

talvoñ meñ jo havā ke haiñ vo aable bhī dekh

bichhtī thiiñ jis raah meñ phūloñ chādareñ

ab us ḳhaak ghaas ke pairoñ-tale bhī dekh

kyā shāḳh-e-bā-samar hai jo taktā hai farsh ko

nazreñ uThā 'shakeb' kabhī sāmne bhī dekh

murjha ke kali jhil mein girte hue bhi dekh

suraj hun mera rang magar din-Dhale bhi dekh

kaghaz ki katranon ko bhi kahte hain log phul

rangon ka e'tibar hi kya sungh ke bhi dekh

har chand rakh ho ke bikharna hai rah mein

jalte hue paron se uDa hun mujhe bhi dekh

dushman hai raat phir bhi hai din se mili hui

subhon ke darmiyan hain jo fasle bhi dekh

'alam mein jis ki dhum thi us shahkar par

dimak ne jo likhe kabhi wo tabsire bhi dekh

tu ne kaha na tha ki main kashti pe bojh hun

aankhon ko ab na Dhanp mujhe Dubte bhi dekh

us ki shikast ho na kahin teri bhi shikast

ye aaina jo TuT gaya hai ise bhi dekh

tu hi barahna-pa nahin is jalti ret par

talwon mein jo hawa ke hain wo aable bhi dekh

bichhti thin jis ki rah mein phulon ki chadaren

ab us ki KHak ghas ke pairon-tale bhi dekh

kya shaKH-e-ba-samar hai jo takta hai farsh ko

nazren uTha 'shakeb' kabhi samne bhi dekh

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now