Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main apne-ap se barham tha wo KHafa mujhse

Farhat Shahzad

main apne-ap se barham tha wo KHafa mujhse

Farhat Shahzad

maiñ apne-āp se barham thā vo ḳhafā mujh se

sukūñ se kaise guzartā ye rāsta mujh se

ġhazal sunā ke kabhī nazm gungunā ke mirī

vo kah rahā thā mire dil mājrā mujh se

guzar ke vaqt ne gūñgā banā diyā thā jinheñ

vo lafz maañg rahe haiñ na.ī sadā mujh se

na gul koī ḳhabar hai na baat gulshan

ḳhafā lagtī hai kuchh roz se sabā mujh se

vo jis ne ḳhvāb mire pal meñ qatl kar Daale

ḳhirāj māñgne aayā hai ḳhuun mujh se

niyāz-mand rahā maiñ bhī us sab tarah

ki koī bhāñp na le us silsila mujh se

aziiz mujh ko haiñ tūfān sāhiloñ se sivā

isī liye hai ḳhafā merā nāḳhudā mujh se

na jaane kaun mahfil meñ kis ke saath huuñ maiñ

hai munqat'a mirā apnā bhī rābta mujh se

bas ek baar nazar bhar ke maiñ ne dekhā thā

nazar milā na sakā phir vo be-vafā mujh se

main apne-ap se barham tha wo KHafa mujh se

sukun se kaise guzarta ye rasta mujh se

ghazal suna ke kabhi nazm gunguna ke meri

wo kah raha tha mere dil ka majra mujh se

guzar ke waqt ne gunga bana diya tha jinhen

wo lafz mang rahe hain nai sada mujh se

na gul ki koi KHabar hai na baat gulshan ki

KHafa si lagti hai kuchh roz se saba mujh se

wo jis ne KHwab mere pal mein qatl kar Dale

KHiraj mangne aaya hai KHun ka mujh se

niyaz-mand raha main bhi us ka sab ki tarah

ki koi bhanp na le us ka silsila mujh se

aziz mujh ko hain tufan sahilon se siwa

isi liye hai KHafa mera naKHuda mujh se

na jaane kaun si mahfil mein kis ke sath hun main

hai munqat'a mera apna bhi rabta mujh se

bas ek bar nazar bhar ke main ne dekha tha

nazar mila na saka phir wo be-wafa mujh se

Source :
  • Book : Aaina Jhuta hai (Pg. 271)
  • Author : Farhat Shahzad
  • Publication : Al-hamd Publication (1997)
  • Edition : 1997
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now