Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise

Syed Ehtisham Husain

kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise

Syed Ehtisham Husain

kuchh mire shauq ne dar-parda kahā ho jaise

aaj tum aur tasvīr-e-hayā ho jaise

yuuñ guzartā hai tirī yaad vaadī meñ ḳhayāl

ḳhārzāroñ meñ koī barhana-pā ho jaise

saaz nafrat ke tarānoñ se bahalte nahīñ kyuuñ

ye bhī kuchh ahl-e-mohabbat ḳhatā ho jaise

vaqt ke shor meñ yuuñ chīḳh rahe haiñ lamhe

bahte paanī meñ koī Duub rahā ho jaise

kaisī gul-rañg hai mashriq ufuq dekh nadīm

nadī ḳhuuñ raat chaukhaT pe bahā ho jaise

mujhe vahm hai suntā nahīñ koī merī

ye duniyā koī koh-e-nidā ho jaise

bahr-e-zulmāt-e-junūñ meñ bhī nikal aa.ī hai raah

ishq ke haath meñ muusā asā ho jaise

dil ne chupke se kahā koshish-e-nākām ke baad

zahr dard-e-mohabbat davā ho jaise

dekheñ bach jaatī hai Dūbtī hai kashti-e-shauq

sāhil-e-fikr pe ik hashr bapā ho jaise

kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise

aaj tum aur hi taswir-e-haya ho jaise

yun guzarta hai teri yaad ki wadi mein KHayal

KHarzaron mein koi barhana-pa ho jaise

saz nafrat ke taranon se bahalte nahin kyun

ye bhi kuchh ahl-e-mohabbat ki KHata ho jaise

waqt ke shor mein yun chiKH rahe hain lamhe

bahte pani mein koi Dub raha ho jaise

kaisi gul-rang hai mashriq ka ufuq dekh nadim

nadi ka KHun raat ki chaukhaT pe baha ho jaise

ya mujhe wahm hai sunta nahin koi meri

ya ye duniya hi koi koh-e-nida ho jaise

bahr-e-zulmat-e-junun mein bhi nikal aai hai rah

ishq ke hath mein musa ka asa ho jaise

dil ne chupke se kaha koshish-e-nakaam ke baad

zahr hi dard-e-mohabbat ki dawa ho jaise

dekhen bach jati hai ya Dubti hai kashti-e-shauq

sahil-e-fikr pe ek hashr bapa ho jaise

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now