Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud se milne ke liye KHud se guzar kar aaya

Kaifi Wijdani

KHud se milne ke liye KHud se guzar kar aaya

Kaifi Wijdani

ḳhud se milne ke liye ḳhud se guzar kar aayā

kis qadar saḳht muhim thī ki jo sar kar aayā

laash hotā to ubhar aatā ik maiñ kyā

sat.h par koī bhī patthar na ubhar kar aayā

sirf darvāze talak ke lauT aayā huuñ

aisā lagtā hai ki sadiyoñ safar kar aayā

chāñd qadmoñ pe paḌā mujh ko bulātā rahā

maiñ ḳhud baam se apne na utar kar aayā

mujh ko aanā thā ik roz haqīqat ke qarīb

zindagī meñ nahīñ aayā thā to mar kar aayā

KHud se milne ke liye KHud se guzar kar aaya

kis qadar saKHt muhim thi ki jo sar kar aaya

lash hota to ubhar aata ki ek main hi kya

sath par koi bhi patthar na ubhar kar aaya

sirf darwaze talak ja ke hi lauT aaya hun

aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya

chand qadmon pe paDa mujh ko bulata hi raha

main hi KHud baam se apne na utar kar aaya

mujh ko aana hi tha ek roz haqiqat ke qarib

zindagi mein nahin aaya tha to mar kar aaya

Source :
  • Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 5)
  • Edition : 2002
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now