KHirad mein mubtala hai salik diwana barson se
ḳhirad meñ mubtalā hai 'sālik' dīvāna barsoñ se
nahīñ aayā vo mai-ḳhāne meñ bebākāna barsoñ se
mayassar jis se aa jaatī thī saaqī kī qadam-bosī
muqaddar meñ nahīñ vo laġhzish-e-mastāna barsoñ se
ba-yād-e-chashm-e-yār ik nā'ra-e-mastāna ai saaqī
ki haav hū se ḳhālī hai tirā mai-ḳhāna barsoñ se
tujhe kuchh 'ishq o ulfat ke sivā bhī yaad hai ai dil
sunā.e jā rahā hai ek hī afsāna barsoñ se
kisī ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabīñ-sā.ī
taqāzā kar rahe haiñ kā'ba o but-ḳhāna barsoñ se
na.ī sham'eñ jalāo 'āshiqī kī anjuman vaalo
ki suunā hai shabistān-e-dil-e-parvāna barsoñ se
koī jauhar-shanās aa.e to jaane qadr 'sālik' kī
paḌā hai ḳhaak par ye gauhar-e-yak-dāna barsoñ se
KHirad mein mubtala hai 'salik' diwana barson se
nahin aaya wo mai-KHane mein bebakana barson se
mayassar jis se aa jati thi saqi ki qadam-bosi
muqaddar mein nahin wo laghzish-e-mastana barson se
ba-yaad-e-chashm-e-yar ek na'ra-e-mastana ai saqi
ki haw hu se KHali hai tera mai-KHana barson se
tujhe kuchh 'ishq o ulfat ke siwa bhi yaad hai ai dil
sunae ja raha hai ek hi afsana barson se
kisi ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabin-sai
taqaza kar rahe hain ka'ba o but-KHana barson se
nai sham'en jalao 'ashiqi ki anjuman walo
ki suna hai shabistan-e-dil-e-parwana barson se
koi jauhar-shanas aae to jaane qadr 'salik' ki
paDa hai KHak par ye gauhar-e-yak-dana barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.