Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha

Hameed Jalandhari

kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha

Hameed Jalandhari

kabhī apnoñ yūrish thī kabhī ġhairoñ relā thā

tire milne ḳhātir ham ne kyā kyā dukh na jhelā thā

mire ahbāb kyā be-vaqt mere paas aa baiThe

ghaTā ghanghor thī vo apne kamre meñ akelā thā

hamārā shām-e-tanhā.ī meñ pursāñ na thā koī

vo jis mahfil meñ jaate the vahīñ yāroñ melā thā

mohabbat junūñ-añgeziyoñ se ham bhī vāqif haiñ

javānī meñ javāno ham ne bhī ye khel khelā thā

udhar vo the ki thī ik daulat-e-bedār paas un ke

idhar ham the ki apnī jeb meñ paisa na Dhelā thā

huī muddat ki un ko ḳhvāb meñ bhī ab nahīñ dekhā

maiñ jin galiyoñ meñ apne dostoñ ke saath khelā thā

javānī meñ hamārī tund-ḳhūī ek aafat thī

hamāre dam se har mahfil meñ jhagḌā thā jhamelā thā

'hamīd' us chāh-e-ġham se aaj tak bāhar nahīñ aayā

azīzoñ ne use muddat huī jis meñ Dhakelā thā

kabhi apnon ki yurish thi kabhi ghairon ka rela tha

tere milne ki KHatir hum ne kya kya dukh na jhela tha

mere ahbab kya be-waqt mere pas aa baiThe

ghaTa ghanghor thi wo apne kamre mein akela tha

hamara sham-e-tanhai mein pursan hi na tha koi

wo jis mahfil mein jate the wahin yaron ka mela tha

mohabbat ki junun-angeziyon se hum bhi waqif hain

jawani mein jawano hum ne bhi ye khel khela tha

udhar wo the ki thi ek daulat-e-bedar pas un ke

idhar hum the ki apni jeb mein paisa na Dhela tha

hui muddat ki un ko KHwab mein bhi ab nahin dekha

main jin galiyon mein apne doston ke sath khela tha

jawani mein hamari tund-KHui ek aafat thi

hamare dam se har mahfil mein jhagDa tha jhamela tha

'hamid' us chah-e-gham se aaj tak bahar nahin aaya

azizon ne use muddat hui jis mein Dhakela tha

Source :
  • Book : Shaam e Sehra (Pg. 220)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now