Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae

Hazin Ludhianvi

is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae

Hazin Ludhianvi

is nahīñ hai ġham koii, jaañ se agar guzar ga.e

dukh añdherī raat meñ ham bhī charāġh dhar ga.e

shān-o-shikoh kyā hue, qaisar-o-jam kidhar ga.e

taḳht ulaT ulaT ga.e, taaj bikhar bikhar ga.e

fikr-e-ma.āsh ne sabhī jazboñ ko sard kar diyā

saḌkoñ pe din guzar gayā ho ke niDhāl ghar ga.e

lipTe rahe tamām raat phuul pattiyoñ ke saath

dhuup paḌī jo phuul par qatre farār kar ga.e

tundī-e-sail-e-vaqt meñ ye bhī hai koī zindagī

sub.h huī to uThe, raat huī to mar ga.e

gard-e-safar meñ kho ga.e, aise hazāroñ rāh-rau

raah meñ jo Thahar ga.e, āñdhiyoñ se jo Dar ga.e

phir bhī kisī ra.iis ke dil tarah hai chashm tañg

aap phire haiñ mulk mulk aap nagar nagar ga.e

khil ke raheñge dekhnā chār-sū raushnī ke phuul

raat ke dasht taraf naqsh-gar-e-sahar ga.e

ḳhaak meñ terī mil ga.ī 'faiz' ke jism ziyā

ab to dayār-e-mahvashāñ qarz tamām utar ga.e

is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae

dukh ki andheri raat mein hum bhi charagh dhar gae

shan-o-shikoh kya hue, qaisar-o-jam kidhar gae

taKHt ulaT ulaT gae, taj bikhar bikhar gae

fikr-e-maash ne sabhi jazbon ko sard kar diya

saDkon pe din guzar gaya ho ke niDhaal ghar gae

lipTe rahe tamam raat phul ki pattiyon ke sath

dhup paDi jo phul par qatre farar kar gae

tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi

subh hui to ji uThe, raat hui to mar gae

gard-e-safar mein kho gae, aise hazaron rah-rau

rah mein jo Thahar gae, aandhiyon se jo Dar gae

phir bhi kisi rais ke dil ki tarah hai chashm tang

aap phire hain mulk mulk aap nagar nagar gae

khil ke rahenge dekhna chaar-su raushni ke phul

raat ke dasht ki taraf naqsh-gar-e-sahar gae

KHak mein teri mil gai 'faiz' ke jism ki ziya

ab to dayar-e-mahwashan qarz tamam utar gae

Source :
  • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 300)
  • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
  • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
  • Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now