Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai

Faiz Ahmad Faiz

hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai

Faiz Ahmad Faiz

Interesting Fact

written on 9th March 1954 in Rawalpindi's Montgomery prison

ham par tumhārī chaah ilzām to hai

dushnām to nahīñ hai ye ikrām to hai

karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ

shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām to hai

dil mudda.ī ke harf-e-malāmat se shaad hai

ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam to hai

dil nā-umīd to nahīñ nākām to hai

lambī hai ġham shaam magar shaam to hai

dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ

dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām to hai

āḳhir to ek roz karegī nazar vafā

vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām to hai

bhīgī hai raat 'faiz' ġhazal ibtidā karo

vaqt-e-sarod dard hañgām to hai

hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai

dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai

karte hain jis pe tan koi jurm to nahin

shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakaam hi to hai

dil muddai ke harf-e-malamat se shad hai

ai jaan-e-jaan ye harf tera nam hi to hai

dil na-umid to nahin nakaam hi to hai

lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai

dast-e-falak mein gardish-e-taqdir to nahin

dast-e-falak mein gardish-e-ayyam hi to hai

aaKHir to ek roz karegi nazar wafa

wo yar-e-KHush-KHisal sar-e-baam hi to hai

bhigi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo

waqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz

RECITATIONS

Hamida Chopra

Hamida Chopra,

Hamida Chopra

ham par tumhaarii chaah kaa ilzaam hii to hai Hamida Chopra

Source :
  • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 260)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now