Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai

Hafeez Jaunpuri

baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai

Hafeez Jaunpuri

baiTh jaatā huuñ jahāñ chhāñv ghanī hotī hai

haa.e kyā chiiz ġharīb-ul-vatanī hotī hai

nahīñ marte haiñ to iizā nahīñ jhelī jaatī

aur marte haiñ to paimāñ-shikanī hotī hai

din ko ik nuur barastā hai mirī turbat par

raat ko chādar-e-mahtāb tanī hotī hai

tum bichhaḌte ho jo ab karb na ho vo kam hai

dam nikaltā hai to a.azā-shikanī hotī hai

zinda dar-gor ham aise jo haiñ marne vaale

jīte-jī un ke gale meñ kafanī hotī hai

rut badalte badal jaatī hai niyyat merī

jab bahār aatī hai tauba-shikanī hotī hai

ġhair ke bas meñ tumheñ sun ke ye kah uThtā huuñ

aisī taqdīr bhī allāh ġhanī hotī hai

na baḌhe baat agar khul ke kareñ vo bāteñ

bā.is-e-tūl-e-suḳhan kam-suḳhanī hotī hai

luT gayā vo tire kūche meñ dharā jis ne qadam

is tarah bhī kahīñ rāhzanī hotī hai

husn vāloñ ko zid aa jaa.e ḳhudā ye na kare

kar guzarte haiñ jo kuchh meñ Thanī hotī hai

hijr meñ zahr hai sāġhar lagānā muñh se

mai jo buuñd hai hiire kanī hotī hai

mai-kashoñ ko na kabhī fikr-e-kam-o-besh rahī

aise logoñ tabī'at bhī ġhanī hotī hai

huuk uThtī hai agar zabt-e-fuġhāñ kartā huuñ

saañs ruktī hai to barchhī anī hotī hai

aks un pe nazar aa.ine pe un nigāh

do kamāñ-dāroñ meñ nāvak-faganī hotī hai

lo do ghūñT ki saaqī rahe baat 'hafīz'

saaf inkār se ḳhātir-shikanī hotī hai

baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai

hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai

nahin marte hain to iza nahin jheli jati

aur marte hain to paiman-shikani hoti hai

din ko ek nur barasta hai meri turbat par

raat ko chadar-e-mahtab tani hoti hai

tum bichhaDte ho jo ab karb na ho wo kam hai

dam nikalta hai to aaza-shikani hoti hai

zinda dar-gor hum aise jo hain marne wale

jite-ji un ke gale mein kafani hoti hai

rut badalte hi badal jati hai niyyat meri

jab bahaar aati hai tauba-shikani hoti hai

ghair ke bas mein tumhein sun ke ye kah uThta hun

aisi taqdir bhi allah ghani hoti hai

na baDhe baat agar khul ke karen wo baaten

bais-e-tul-e-suKHan kam-suKHani hoti hai

luT gaya wo tere kuche mein dhara jis ne qadam

is tarah ki bhi kahin rahzani hoti hai

husn walon ko zid aa jae KHuda ye na kare

kar guzarte hain jo kuchh ji mein Thani hoti hai

hijr mein zahr hai saghar ka lagana munh se

mai ki jo bund hai hire ki kani hoti hai

mai-kashon ko na kabhi fikr-e-kam-o-besh rahi

aise logon ki tabi'at bhi ghani hoti hai

huk uThti hai agar zabt-e-fughan karta hun

sans rukti hai to barchhi ki ani hoti hai

aks ki un pe nazar aaine pe un ki nigah

do kaman-daron mein nawak-fagani hoti hai

pi lo do ghunT ki saqi ki rahe baat 'hafiz'

saf inkar se KHatir-shikani hoti hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now